Kiraman Kaatibeen woh farishtey hain keh sab logon ke kirdaar aur guftaar, neik aur bad ko likhte hain.
Hazrat Ibn e Sirin reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh agar koi shaks inko khwab mein dekhe. Agar neik hai toh dono jahan mein khair aur salah payega. Aur agar muflis hai toh gam aur andwa uthayega.
Agar un farishton ko aapas mein ladte dekhe toh yeh daleel hai keh yeh shaks gunahgaar aur nafarman hai. Aur a’zaab e khuda ka mustahiq hai. Aur agar farishton ko dekhe keh kisi cheez ke lene ke muntazir hain toh daleel hai keh uske maal aur nemat mein zawal aayega.
Aur agar farishton ko kisi jagah khada dekhey toh wahan aman hoga aur agar ladayi mein dekhey toh dushman par kamyab hoga. Aur agar ruku sujood mein dekhe toh yeh daleel hai keh uske dunya aur deen ke ahkaam ahwaal mustaqeem par hain. Aur agar farishton ko aurton ke shakal mein dekhey toh yeh daleel hai keh khwab dekhne wala khuda ta’ala par jhoot lagata hai.
Aur agar khwab mein dekhe keh par rakhta hai aur farishton ke saath udhta hai toh uski maut qareeb hai aur dunya se tauba karke marega. Aur agar door se farishton ko dekhey aur unke qareeb nahi jasakta hai toh uspar musibat padhne ki daleel hai. Aur agar dekhe keh farishtey usko apni itaa’t ka amr farmate hain. Agar neik hai toh shadi aur khushi dekhega. Aur agar bura hai toh ranj wa gam dekhega.
Aur agar khwab mein dekhey keh farishtey usko izzat ke saath salam karte hain toh daleel hai keh dushman par fatah payega aur anjaam ba khair hoga. Aur agar unko ek agah utare huwe dekhey toh daleel hai keh wahan ke log gam wa andwa se nijaat paayenge. Kyunke farishte hamesha paighambaron ki madad ke liye aaye hain.
Hazrat Kirmani reh’matullahi a’laih farmate hain sahib e khwab ka farishton ko dekhna pand aur nasihat hai. Aur agar farishte ko wasiyyat karte dekhey toh yeh shaks shaheed hoga. Aur agar muqarrab farishton ko kisi jagah mein dekhey keh us jagah ahl e islam kafiron ke saath jang karte hain, toh ahle Islam ko fatah hogi. Aur agar us jagah ranj, qahat, aur sakhti hogi toh ALLAH ta’ala us jagah walon ko usse nijat dega.
Aur agar dekhe keh farishta bankar aasman ko chala gaya hai toh daleel hai keh yeh shaks dunya mein zohud ikhtiyar karega aur dunya se dastbardar hokar raah e aakhirat talash karega. Aur agar dekhey keh farishton ke saath aasmaan par jala gaya hai aur wapas nahi aaya hai toh jaldi dunya se safar karega aur apna neik naam chodega.
Hazrat Jabir Maghrabi reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh agar khwab mein dekhey keh muqarrab farishta izzat ke saath uski taraf dekhta hai toh woh shaks bimari se jald shifa payega, aur uske baad haj aur jihad karega aur bohat se neik kaam karega. Aur agar apne aap ko farishtey ki surat par dekhey toh daleel hai keh gam aur qarz se nijaat payega aur agar maaldar hai toh maal zyada hoga aur agar darweish hai toh ghani hoga.
Hazrat Jafar Sadiq radiallahu a’nhu ne farmaya hai keh agar khwab mein dekhey keh farishta usko kisi kaam ki basharat deta hai toh yeh daleel hai keh koi buzurgh aadmi usko kisi kaam par lagayega aur agar dekhey keh farishta usko ataa deta hai toh woh shaks ataa uar buzurgi payega.
Aur agar farishta karobi ko istiqbaal karta dekhega toh donon jahan ki daulat payega. AUr agar dekhey keh farishtey uski ziyarat ko aaye hain aur shama’ aur chiraagh unke paas hain toh daleel hai keh uske yahan daana aur aalim farzand aayega. Aur agar dekhey keh farishtey usko safed ya sabz kapdey detey hain toh daleel hai keh woh khud marega ya uske a’zeezon mein se koi marega. Aur agar dekhey keh uski taraf khushi se dekhte hain toh uska anjaam ba-khair hoga.
Aur agar khwab mein farishta jamay Quran dey ya khat likha huwa dey toh daleel hai keh koi shaks uspar hukumat karega aur uspar ghalib aajaayega.
