Table of Contents
Khwab mein shadi dekhna
Iski tabeer fakhr, izzat ka hasil hona aur dabdaba aur dunya ka hasil hona hai us aurat ke martabay mutabiq jisse shadi ki hai. Ya usse mansoob ho.
Khwab mein yeh ALLAH ta’ala ki taraf se inayat par dalalat karta hai.
Kabhi shadi qaid, qarz, pareshani, aur gam, kisi ki zamanat mein aana, pesha, buzurgi aur badey badey ohday leney ke liye koshish karney par dalalat karti hai.
Baaz suraton mein Shadi aur khush haali ki bhi alamat hoti hai.
Imam Jafar Sadiq Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh khwab mein aurat se nikah dekhna 4 wajeh par hai:
-
- Buzurgi
- Ziyadati
- Araam
- Shadi aur Khushi
Khwab mein mard ka shadi dekhna
Khwab mein kuwara mard apni shadi dekhna
Agar khwab mein kuwara mard shadi karey toh maaldaar aurat se shadi karega.
Khwab mein shadi shuda mard apni shadi dekhna
Agar kisi ne dekha keh usne aurat ke saath shadi karli halanke uski apni ek ya zyada biwiyan hon toh woh bhalayi, faida aur ghalba payega us aurat ke husn wa shakal ke ba-qadar lekin shart yeh hai keh woh usko dekhay ya pehchanta ho. Agar woh usko na pehchanta ho, na hi uska naam janta ho lekin uske liye tayyar ki jaaye toh yeh uski apni maut ya uske haathon kisi ki maut ki alamat hai ya sakht bimari aur pareshani ki alamat hai. Hazrat Ibn e Sireen Reh’matullahi A’laih ne farmaya hai keh agar koi khwab mein dekhe keh aurat ki hai, shadishuda hai toh sharf aur buzurgi ki daleel hai.
Khwab mein dulhan dekhna
Agar khwab mein dulhan aarasta wa perasta dikhayi de toh dunyawi aaram wa sukoon ki daleel hai.
Khwab mein khud ko dulha dekhna
Agar koi shaks khud ko dulha dekhey lekin apni biwi ko na toh dekhta hai, na hi pehchanta hai aur na hi uske naam aur nasab se waqif hai. Bas sirf itna maloom hai keh uski biwi hai toh daleel hai keh uski wafat hogi ya phir woh kisi ko qatal karega. Agar apni biwi ko dekhta, pehchanta, ya naam janta hai toh yeh shadi karne ki basharat hai. Agar aurat se shadi karey toh aurat ki qadar wa fazilat aur husn wa jamal ke mutabiq saltanat hasil hogi.
Khwab mein mard ka mard se shadi dekhnay ki tabeer
Agar kisi ne khwab mein dekha keh woh kisi mard se nikah kar raha hai. Agar mard na-maloom aur jawan hai toh iski yeh tabeer hai keh woh apne dushman par fatahyaab hoga. Aur agar mard jaana, pehchana hai aur un dono mein dushmani bhi nahi toh yeh tabeer hai keh wo aadmi jisse nikah horaha hai, nikah karne waley se ya uske hum naam shaks ya uske mushabah kisi shaks se bhalayi, ya faida uthayega. Agar woh shaks na-maloom ho toh uski talab e dunya ki khwaish mazboot hogi ya khoob jama hojayega us kaam mein jismein lazzat aur khushbakhti donon ho.
Khwab mein mard ka kisi mard ko salam karna
Jisne yeh dekha keh kisi ko usne salam kiya hai, agar aadmi jaana, phchana hai toh iski tabeer yeh hai keh woh usse shadi ke baarey mein guftaghu karega toh apney liye, ya apne ladke ke liye ya kisi aur keh liye. Agar aadmi ne salam ka jawab diya toh uski baat qubul karega, aur agar jawab na dey toh shadi ka paigham qubul na karega. Aur ek tabeer yeh bhi hai keh salam ki ibdeta karne wala dosrey ki biwi se shadi karega. Aur agar jana pehchana na ho toh yeh tabeer hai keh woh pardes mein, musafirat ki halat mein shadi karega.
Khwab mein kuwari ladki se shadi dekhna
Hazrat Jabir Maghrabi Reh’matullahi a’laih ne farmaya, agar koi khwab mein dekhe keh usne kuwari ladki se shadi ki hai aur uska kuwarpan zayil kiya hai toh daleel hai keh is saal mein isko aurat ya kaneez hasil hogi ya badshah se khair wa neiki daikhega. Aur agar dekhe keh haram ke saath kuwari ladki ko le gaya hai toh isse daleel hai keh maal e haram hasil karega.
Khwab mein mard ka kisi mehram se shadi dekhna
Agar kisi ne khwab dekha keh woh apni maa, behen ya aisi rishtedar se nikah kar raha hai jisse nikah jaiz nahi. Agar yeh nikah hurmat ke mahino mein (Zee qa’ada, Zee al hijja, Muharram, Rajab) mein ho toh woh Makkah Mukarrama ya Madina Munawwara pohunchega. Agar nikah hurmat ke mahinon mein na ho toh, woh kisi rishtedar se husn e suluk karega aur qataa rehmi ke baad apne rishtedaron se neiki karegi.
Khwab mein haiz dekhna
Agar kisi ne khwab mein dekha keh uski biwi ko haiz aaraha hai toh uske kaam band hojayenge. Aur agar khwab dekha keh khud usko haiz aaraha hai toh haram kaam karega.
Khwab mein napaak hona
Aur agar kisi ne khwab mein dekha keh woh napaak hai toh uske muamlaat khalt milt hojayenge. Aur har khwab jisme mani kharij ho aur ghusal wajib ho, uski koi tabeer nahi hai kyunke ahtelam (badkhwabi) mardood shaitan ke waswason ka natijah hai.
Khwab mein na-maloom aurat se shadi karna
Agar na-maloom aurat se shadi ki ya khwab mein aurat ko dekha hi nahi toh yeh maut ke qareeb honey ki nishani hai aur ek maqam se dosre maqam ki taraf muntaqil honey par daal hai. Agar imaarat ke qabil hon ya wilayat ke ahl ho toh ameer aur waali banaya jayega ya apney layaq mansab ikhtiyar karega. Agar aurat ko dekhe aur woh na maloom jagah hai aur woh makan kisi murde ki milk hai aur woh murda is aurat ke saath jama huwa hai toh daleel hai keh woh aurat maregi. Aur agar woh makan maloom hai toh aurat ke nuqsan ki daleel hai
Agar khwab mein shadi sirf shehwat ki shakal mein ho toh yeh ALLAH ke saath achey mua’hida ki alamat hai. Aur agar zufaf ki shakal mein ho jiska aam taur par hota hai toh yeh mansab aur achi shohrat ki alamat hai.
Khwab mein aurat se shadi karna aur uska marjana
Shadi harfat se bhi tabeer ki jati hai. Toh agar kisi ne khwab dekha keh usne aurat ke saath shadi ki aur woh margayi toh tabeer hai woh aisi harfat mein kaam karega keh jismein siwaye kaam, thakawat aur pareshani ke kuch hasil na karega.
Khwab mein Yahudi aurat se shadi karna
Agar kisi ne dekha keh usne yahudi aurat ke saath shadi ki hai toh woh aise kaam ki koshish kar raha hoga, jisme woh gunah aur burayiyon par juraat kar raha hoga.
Khwab mein Nasrani aurat se shadi karna
Aur jo dekhe keh usne Nasrani aurat se shadi ki hai toh woh kisi batil aur galat peshe mein koshish karega.
Khwab mein Issayi aurat se shadi karna
Agar kisi ne dekha keh usne Isaayi aurat ke saath shadi ki hai toh woh aisa pesha ikhtiyar karega jo keh ghalat aur pur-fitan hoga.
Khwab mein Majoosi aurat se shadi karna
Agar majoosi aurat huwi toh yeh aisa pesha hoga jo keh be-deen hoga.
Khwab mein Zaniyah aurat se shadi karna
Agar kisi ne zaniyah ke sath biyah kiya toh woh khud zaani hoga.
Khwab mein zuban daraz aurat se shadi karna
Aur jo khwab mein zaban daraaz aurat se shadi kare saqeel qaid mein muqayyid hoga.
Khwab mein ghalib aurat se shadi karna
Agar kisi ne aisi aurat ke saath shadi ki jo uspar ghalib ho toh woh bhari qaid bhugatega.
Khwab mein kuttiya se shadi karna
Agar kisi ne kuttiya ke saath shadi ki toh woh koi bura aur ghatiya kaam karega.
Khwab mein badshah ki beti se shadi karna
Agar kisi ne dekha keh baajon aur gaaney wali auraton ke jillon mein badshah ki beti se shadi ki toh woh nifaq ki jad yani sharab peeta hoga.
Khwab mein mard ko kisi ki biwi pesh karne ki tabeer
Agar kisi ne dekha keh ek aadmi ne aurat se shadi ki hai aur phir usko paish kardi toh woh aurat ke khwaind se maal payega.
Aur agar shadi ki aur khud uske paas chala gaya toh uska pehla aqeeqi khwaind us khwab mein shadi karne waley khwaind se maal aur bhalayi payega.
Agar kisi ne apni bandi kisi insan se biyahi toh woh apni jaayedaad bechega.
Khwab mein biwi ki bukharzada shaks se shadi dekhna
Agar kisi ne apni biwi ko dekha goya keh usne kisi bukhar zada mard se biyah kar liya hai toh usko hamesha ka bukhar hojayega.
Khwab mein badshah ki biwi se shadi karna
Agar kisi ne badshah ki biwi se nikah kiya toh tabeer hai keh woh badshahat payega agar uska ahal ho warna koi riyasat waghaira hasil karega.
Khwab mein Murda aurat se shadi karna
Agar kisi ne murdah aurat se shadi ki toh woh apnay ya us murday ke muamlay mein kamyabi hasil karega jo khatam hochuka hai aur usse na-ummed hochuka hai.
Agar koi dekhe keh khwab mein murda aurat se nikah kiya hai aur uske saath jimaa bhi kiya hai toh daleel hai keh us aurat ke mulk aur maal se isko hasil hoga us aurat ke jamal ki ba-qadar. Aur agar dekhe keh uske saath jimaa nahi kiya hai toh daleel hai keh isko uske maal mein se kuch thodi cheez hasil hogi.
Agar kisi ne dekha keh usne kisi murda aurat ke saath shadi karke usse dukhool kiya toh woh murdah ke kisi muamlay mein apni resha dawaniyon se kamyab hoga aur woh muamla ahmiyyat mein us aurat ke jamal ki qadar hoga. Agar dukhool nahi kiya toh uski kamyabi usse kam hogi jitni keh agar woh dukhool karleta hai.
Khwab mein mard ka namaloom budhey ki ladki se shadi karna
Agar kisi ne dekha keh usne kisi namaloom budhey ki ladki se shadi karli toh woh bohat maal payega.
Khwab mein aurat ka namaloom budhey ki ladki se shadi karna
Agar koi aurat khwab dekhay keh usne kisi na-maloom budhey se shadi rachali hai toh woh bhi bohat bhalayi payegi. Agar bimar ho toh bimari se ifaqah hoga.
Khwab mein mehram murdah aurat se shadi dekhna
Agar kisi ne dekha keh usne apni mehram auraton mein se kisi murdah aurat se nikah kiya toh woh usse silah rehmi karega aur agar zinda ho toh qata’a rehmi karega.
Agar kisi ne dekha keh usne zawat mehram se shadi karli hai toh woh apnay ghar walon par hukumrani karega.
Khwab mein Walida ki shadi karana
Aur jo apni walida ki shadi karaye woh apni jaaydaad farokht karega.
Khwab mein biwi ka nikah dekhna
Agar kisi ne khwab mein dekha keh uski biwi se koi aur nikah kar raha hai toh yeh tabeer hai keh us aurat ke gharwalon ko bhalayi aur daulat milegi.
Khwab mein biwi ki tabeer
Biwi khwab mein shareek, dushman, jabir, jhagdalu ya ziddi badshah, suwari, suwar aur har woh cheez jispar zameen dalalat karti hai jaise raahat, thakawat, khair aur shar waghaira sab cheezon par dalalat karti hai kyunke woh in sab ke zyada munasib hai.
Khwab mein aurat ka shadi dekhna ya karna
Khwab mein kuwari aurat ka shadi karna
Agar khwab mein kuwari aurat shadi karey toh isey khair hasil hogi chahey nikah ki surat mein ho ya maal wa rahat ki surat mein bashart hai keh dulhe ko daikha hai ya janti hai ya naam janti hai ya dulha ghar aaya hai. Yani iski tabeer yeh hai keh daulat mile ya dili murad poori ho, ya izzat wa martaba ke badhey ya aish o ishrat paaye.
Agar dulhe ko nahi dekha, na ghar aaya hai, na usko janti hai na uska naam tak janti hai toh yeh pareshan honey, dili murad poori na hone aur bimar hone ki nishani hai.
Khwab mein aurat ka mard se shadi karna aur uska uske ghar mein jama hona
Agar koi aurat dekhe keh usne kisi mard se nikah kiya hai aur aurat ke ghar mein woh mard iske saath jama huwa hai toh daleel hai keh aurat ke maal ka nuqsaan hoga ya iska haal mutaghayyir hoga.
Khwab mein shadishuda aurat ka shadi dekhna
Agar shadishuda aurat khwab mein kisi bhi surat mein apni shadi hote huwe daikhey toh yeh ranj o gam paane aur pareshan hone ki alamat hai.
Khwab mein shadishuda aurat ka dosra shohar dekhna
Hazrat Ibrahim Kirmani Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh agar shohardaar aurat khwab mein dekhe keh uska dosra shohar hai aur shadi ko nahi dekha hai toh yeh sharf aur izzat aur zyadati e maal ki daleel hai. Aur agar dekhe keh uski shadi hone wali hai aur usne shadi ko nahi dekha hai aur na pehchana hai toh iske liye maut ka khauf hai. Aur baaz kehte hain koi aadmi iske haath par halaq hoga.
Khwab mein bimar aurat ka shadi karna
Agar bimar aurat ne nikah kiya lekin na usne khwaind ko dekha na hi usko pehchanti ho aur na hi uska naam janti ho toh woh marjayegi. Aise hi bimar aadmi bhi agar khwab mein shadi karey aur na hi biwi ko dekhey na hi uske saamne uska naam bayan kiya gaya toh uski bhi yehi tabeer hai keh woh marjayega.
Khwab mein Hamila aurat ka shadi karna
Agar kisi hamilah aurat ne khwab dekha keh usne shadi ki hai toh woh bachi ko janam degi aur agar woh dulhan ki tarah khwab mein dikhayi di toh woh ladka janegi.
Khwab mein betay wali aurat ka shadi karna
Agar kisi aurat ka ladka ho aur woh yeh dekhey keh usne nikah karliya hai toh woh apney betay ka nikah karayegi agar kuwari ya shadishuda aurat se shadi ki toh woh khair payegi.
Khwab mein aurat ka Murdah aadmi se shadi karna
Agar kisi aurat ne apna nikah murdah aadmi se karliya toh uska ghar ujad jayega aur woh fiqar wa faaqa mein mubtala hogi. Aise hi agar mayyit usko murda khana mein lejaye aur woh murday ko pehchanti bhi ho tab bhi yehi tabeer hogi. Agar mayyit ko na pehchanti ho toh woh marjayegi.
Kisi se zabardasti shadi dekhna ya apne na-pasandidah shaks se shadi dekhna
Yeh ranj o gam paane aur bimar hone ki alamat hai.

I used to be suggested this blog by means of my cousin. I am no longer
sure as nobody else realize such distinct about my trouble.
You’re wonderful! Thanks!