Hazrat Danial a’laihissalam ne farmaya hai keh log shakal aur surat, tabiyat aur qad, baat aur khwab mein mukhtalif hain. Ikhtilaaf shehar aur hawa ki wajeh se ek ka khwab dosre ke mutabiq nahi hota hai. Jab kisi ki tabiyat par ghost aur halwa aur sharab waghaira cheezon ke istemal se khoon ghalib hoga toh khwab mein fasal aur senghi aur labon ki harkat aur khushi aur aawaz raag wa rang ki aur jo kuch iske mushabah hai sunega toh tabeer bayan karne wala uske chehre aur rang, aur jism ki farhabi aur khushi wa khurmi ko dekhe keh yeh khwab khoon ke ghalbey se hai, iski kuch bhi asliyyat wa tabeer nahi hai.
Aur ab kisi ki tabiyat par garam aur khushk cheezon ke khane se jaise paneer, pyaaz, filfil waghaira se khild safra ka ghalba hojaye toh woh shaks khwab mein aag, chiragh, shamaa, qandeel, garma waghaira bohat dekhega. ab tabeer bayan karne wala uske chehrey ki zardi, aur jism ki laghari aur tezi harkat aur basyaar goyi dekhaga toh jaanlega keh us shaks par khilt safra ka ghalba hai aur uske khwab ki kuch asliyat wa tabeer nahi hai.
Agar kisi shaks ki tabiyat par balgham badhane wali cheezon ke istemal se jaise chanch, dahi, doodh waghairah se balgham ka ghalba hojayega toh woh shaks khwab mein barf aur barish aur jo cheezein inke mushabah hain dekhega. Jab tabeer bayan karne wala sahib e khwab ka rang safed aur jism farbah aur baat mein girani dekhega toh jaan lega keh uske mizaaj par khilt balgham ghalib hai aur aise shaks ke khwab ki koi asliyat nahi hai.
Agar kisi shaks ki tabiyat par sauda angez cheezon ke khane se jaise namak aamekhta ghosht aur tarsh cheezein aur baigan waghaira se khilt sauda ka ghalba hojayega. Toh aisa shaks khaunaak khwabein, saanp, bichchu, tareeki, aur siyahi waghaira bohat dekhega. Jab tabeer bayan karne wala iska rang aur chehra siyah deghega aur uski surat andesh naak aur mutafakkir nazar aayegi aur bewajeh apne chehre aur resh par haath pherta hoga toh jaanlega keh us shaks par khilt sauda ka ghalba hai aur uska khwab be asal hai.
Lihaza tabeer bayan karne wale par laazim hai keh in sab baaton par gaur karey aur har ek ke khwab ko achi tarah puche aur ispar waqifiyyat hasil karke tabeer bayan karey taake raast aaye.
Hazrat Ibn e Sirin (rehmatullahi a’laih) ne farmaya hai keh o log Ashaab e himmat hain, jaise aashiq mashooq ko khwab mein dekhe ya harfa wala apne khwab mein apna pesha dekhe. Tabeer bayan karne wale par lazim hai keh khwab ko dobara puche keh kal kya khaya tha aur kis khayal mein soya tha? Phir tabeer bayan karey.
Ya koi aadmi khwab ke andar barf aur baaran aur sarma mein giraftar hai. Jab bedaar hoga toh neend ke kapde usse alayhda honge. Yeh barhangi aur be sardmaaigi uske khwab ka baais hogi. Lihaza yeh khwab be haqiqat hai.
Agar khwab mein dekhe keh hammam mein tha ya dhoop aur garmi mein tha aur jab jagega toh apne aapko bohat se kapdo mein lapeta huwa payega. Khwab mein aisi garmi mehsus karna kasrat e paarchat ki wajeh se hai. Lihaza yeh khwab be haqiqat hai.
Agar koi khwab mein dekhe keh bimari aur jismani dard se ro raha hai aur bimar padha huwa hai aur dar haqeeqat bimar bhi tha toh yeh khwab bhi be asal hai. Agar koi shaks khwab mein dekhe keh bol karta hai aur jaga toh kapdey mein bol huwa dekha ya maloom kiya keh bol zor se aaraha hai. Aise khwab be haqeeqat hain aur inki koi tabeer nahi.
