Agar koi shaks khwab mein Hazrat MIkaael a’laihissalam ko dekhe, jaise ke unki surat hai. Daleel khair aur basharat ki hai. Kyunke Jibrael a’laihissalam khwab ke laane wale hain, aur Mikaael a’laihissalam basharat aur nemat waghaira ke laane wale hain.
Harzat Ibn e Sirin reh’matullahi a’laih ne farmaya, keh agar khwab mein dekhe keh Hazrat Mikaael ne usko ataa kiya hai. Yeh khair aur buzurgi ki daleel hai. Aur agar khwab mein dekhe keh log usko Mikaael kehte hain. Daleel hai keh usse logon ko khair aur basharat pohunchegi aur nihayat qadr wa manzilat payega.
