Table of Contents
Khwab main aankhein dekhna
Hazrat Ibn e Sirin (rehmatullahi a’laih) ne farmaya hai keh khwab mein aankh ka dekhna ek beena mard ko dekhna hai keh jisse raah e hidayat payega.
Ghurba chasm bidat hai aur ghulabi aankh farzand hai. Aur agar dekhey keh khud nabina hogaya hai toh daleel hai keh raah e hidayat se gum hoga ya uska farzand marega.
Aur agar dekhey keh uski ek aankh andhi hoagayi hai toh isse daleel hai keh uska nisf deen zayaa hogaya hai ya usne bohat bada gunah kiya hai. Ya uske ek haath ya ek paon ya jism ke ek hissey par musibat aayegi ya uske kaam ka nisf kharab hoga.
Hazrat Ibrahim Kirmani (rehmatullahi a’laih) ne farmaya hai keh agar koi dekhey keh aankh mei surma lagaya hai toh daleel hai keh deen ki islaah talash karta hai. Aur agar dekhey keh surmey se uska maqsad zeenat aur aaraish hai toh daleel hai keh apne aap ko logon ke samney ba-amanat aur deendar zahir karta hai taake un mein izzat paaye. Aur agar dekhey keh usko kisi ne surma diya hai taake aankh mein daaley toh daleel hai keh usi qadar maal payega.
Aur agar dekhey keh uski aankh ki binayi kamzor hogayi hai toh daleel hai keh woh zahir aur batin mein do rawayya munafiq hai. Aur agar dekhey keh uske jism par bohat si aankhein hain aur sab cheezon ko kamil taur par dekhta hai toh yeh sulah e deen ki daleel hai aur shariat ke faraiz aur sunnatein achi tarah se baja laata hai.
Aur agar dekhey keh kisi ne uski aankh nikal di hai toh daleel hai keh jis cheez se uski aankh roshan thi. Jaise aurat farzand, makan, baagh uski nazar se ghayib hojayega, aisa keh phir na dekhega.
Hazrat Jabir Maghrabi (rehmatullahi a’laih) ne farmaya hai keh agar lohey ki aankh dekhey toh daleel hai keh uska parda phatega aur agar dekhey keh uski donon aankhon par waram hai keh aankh khul nahi sakti hai. Toh daleel hai keh mukhalif aadmi ki sohbat mein baithega. Aur agar aankh ke noor mein zauf dekhey toh daleel hai keh usko taa’at karne mein nuqsan pohunchega. Aur agar apni donon aankhein nikli huwi dekhey toh daleel hai keh deen shariat se be-behra hoga. Aur agar dekhey keh uske chehrey ke darmiyan aankh hai, toh daleel hai keh deen ke baare mein apni zuban se nalayaq baatein karega. Aur agar dekhey keh uski ankhein roshan hain aur log maloom karte hain keh andhi hain toh daleel hai keh uske deen ka batin zahir se behtar hai.
Aur agar dekhey keh uski donon aankhein safeid hokar phir siyah hogayi hain toh daleel hai keh bimar hoga ya kisi se jhagda karega. Aur agar dekhey keh aankh siyah hogayi hai aur safedi nahi rahi hai, toh daleel hai keh mutakabbir hoga. Aur agar dekhey keh uski ek aankh par aafat pohunchi hai toh daleel hai keh uske beton ko koi aafat pohunchegi.
Aur agar dekhey keh kisi ne apna haath badhakar uski ek aankh nikali hai, toh daleel hai keh uske farzand ko raah se jayega. Aur agar dekhey keh kisi ne uski aankh bandhi ya haath mein li hai toh daleel hai keh uske farzand ya maal ko nuqsan hoga ya gunah karega aur agar dekhey keh uski aankh se khoon jari hai toh daleel hai keh uske farzand ki taraf se gam hoga ya uske maal ka nuqsan hoga.
Hazrat Ismaeel Atha’th (rehmatullahi a’laih) ne farmaya hai keh agar koi dekhey keh uski aankh kaan hogayi hai aur kaan ankh hogaya hai, toh daleel hai keh ladki wali aurat karega aur donon se sohbat karega. Aur agar dekhey keh uski aankh kaf e dast par hai toh daleel hai keh maal payega. Aur agar dekhey keh uski aankh mein safedi hai toh daleel hai keh usko gam wa andwa pohunchega.
Bayan karte hain keh ek shaks Hazrat Danial (a’laihissalam) ki khidmat mein hazir huwa aur usne arz kiya keh maine khwab mein dekha hai keh meri daayin aankh baayin aankh ko bosa derahi hai. Aapne taweel mein farmaya keh Aye mard. Khuda se dar aur tauba kar aur ainda apne hamsiliyah ki aurat se khayanat na kar taakeh Haq ta’ala ke a’zaab se aman mein rahey. Sahib e khwab ne arz kiya keh maine tauba ki.
Hazrat Jafar Saadiq a’laihissalam ne farmaya hai keh khwab mein aankh ka dekhna 7 wajeh par hai.
- Raushnayi
- Hidayat e deen
- Islam
- Farzand
- Maal
- Ilm
- Maal aur ilm ki zyadati
Khwab mein ankhein, Insan ka deen aur uski basarat hai jiske zariye woh zalalat aur hidayat daikh sakta hai. Jo apne jism mein bohat si aankhein dekhey toh yeh deen wa sulah mein zyadati ki daleel hai.
Agar khwab mein kisi aadmi ko nafrat ki nigah se dekhey toh woh isko fareib dega aur usse keena rakhega.
Agar dekhey ke uski aankhein lohey ki hain toh uski pardah dari hogi. Aur woh shadeed pareshani se do char hoga.
Agar dekhey keh uska pait phat gaya hai aur uske andar bohat si ankhein nazar aayein toh woh zindeeq (be-deen) hai. Agar apney kandhey par aadmi kisi chaupaye ki si aankh dekhey toh usko ghaibi maal milega.
Siyah aankh deen hai. Siyah zardi maayil aankh deen ki mukhalif hai.
Neeli aankh deen e biddat hai. Sabz rang ki aankh woh deen hai jo dosre adyaan ke khilaaf ho. Basarat ki teizi sab logon ke liye pasandidah amr hai.
Aur aankh ki kamzori uski maali ihtiyaaj ki daleel hai. Isliye keh maal aankh ki tarah hai, agar apni donon aankhon ko dekhey keh woh khatam hogayin hain toh uski aulad wafat payegi. Agar majbori ho toh isey aisa shaks milega jo uski muaawinat karega. Agar musafir ya safar ka khwaish mand yeh khwab dekhey toh yeh is baat ki daleel hai keh woh watan wapas nahi lautega.
Jo apni ankhon ko kisi dosre insan ki aankhon jaisa dekhey toh yeh uski nigah khatam hone aur is baat ki daleel hai keh koi shaks uski rehnumayi karega. Yani dosre ki raaye par chalega.
Jo dekhey ki uski aankhein uski goud mein gir gayin hain toh uska bhai, beta waghaira faut hoga.
Aadmi ki aankh uska ladka ya mehboob ya uska deen hai lihaza jo apni aankhon mein takleef dekhey toh yeh uske deen ke naqs ki daleel hai. Aur andha hona us naqs ke zyada hone ki alamat hota hai.
Badshah ki aankh uska jasoos hai. Aankh ki tabeer nigran aur pani ke chashma ke saath bhi ki jati hai, Jo dekhey ke woh apni aankhon ka ilaj mualijah karta hai toh woh apne deen ki islaah karega ya maal ki islaah karega.
Jo apni basarat ko bohat teiz aur qawi khayal karey aur dekhey toh apney deen ke muamley mein uska batin uske zahir se behtar hai.
Aur jo apni aankhon mein safedi dekhey toh woh kisi gam mein mubtala hoga, ya uska aziz juda hoga. Agar woh gamzada ho toh ALLAH ta’ala uske gam wa huzn door karega.
Jo apni aankhon mein nilapan dekhey toh woh mujrim hai.
Aur jo dekhey keh woh kisi aadmi ki aankh khata hai toh woh uska maal khata hai.
Jo dekhey keh uske aankhon ki palkein nahi hain toh woh ALLAH ke ahkamaat aur deen ko zaaya karta hai. Agar unko kisi insan ne ukhada hai toh uska dushman usey ruswa karega. Agar dekhey ke uski palkon ki jadein safed hogayin hain toh yeh marz ki daleel hai.
Aur khubsurat aankh dekhna sihr wa jadu, aur maut wa hayat ki daleel hai. Ya tamam aqaarib aur ahl wa aulad ki daleel hai. Aur uske han mareez aulad ya zauja ya habeeb ho toh marz se shifa hogi. Agar kafir ho toh musalman hoga, faqeer ho toh mustaghni hoga, aur nigaah uthana shiddat ki daleel hai.
Agar aankh badan ke kisi aur hissa mein muntaqil hogayi toh yeh aafat ki daleel hai.
Binayi ka zayil hona ALLAH ta’ala ki taraf se a’zaab ke aane ki daleel hai.
Daayein aankh betey ki aur baayin aankh beti ki daleel hai.
Aur aankh mein zarrat padhna bedari ki daleel hai.
Agar aankhon mein surkhi dekhey toh woh kisi aariza ki bina par jo isey peish aayega ghaiz wa ghazab ka shikar hoga.
Aur jo shaks dekhey keh uski aankh phodi gayi hai toh uski aankhon ki thandak yani uska ladka usse door hoga. Aur khwab mein aankh ka phodna umar e taweel ki bhi daleel hai. Aur aankh ukhadna musibat ki bhi daleel hosakta hai.
