Khwab mein Hazrat Israfeel (A’laihissalam) Farishtey ko dekhna

Hazrat Ibn e Sirin reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh agar koi shaks Hazrat Israfeel a’laihissalam ko unki surat par dekhe toh yeh quwwat aur buzurgi aur jaah wa jalal aur ilm wa danish ki daleel hai. Aur jis mulk mein dekhe uski aabadi aur aman ki daleel hai.

Aur narsingha phunkte dekhe toh yeh balaa aur fitney ki daleel hai. Aur agar dekha keh apke haath mein narsingha hai aur phunkte nahi hain. Daleel hai keh shaher mein balaa aur fitna aur nihayat khauf padega. Aur agar dekhe keh Israfeel a’laihissalam uske ghar mein aaye aur sota huwa jaag padha hai, daleel hai keh us shaher ka baadshah uspar khafa hoga.

Hazrat Kirmani reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh agar Israfeel a’laihissalam ko koi shaks khwab mein dekhe keh andwageen soor phunkte hain aur uspar bataur e barkat surat ki aawaz suni hai toh daleel hai keh us mulk mein mirg padegi aur zalim log halak honge.

Aur agar dekhe keh Israfeel a’laihissalam taaza rawi aur khushi ke saath uski taraf dekhte hain toh is amr ki daleel hai keh usko badshah se aman aur khair pohunchega aur agar dekhe keh Israfeel a’laihissalam ne uspar aawaz kasaa aur gayib hogaye daleel hai keh usko badshah ki taraf se nuqsan pohunchega.

Rate your understanding of this post!
[Total: 0 Average: 0]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Related Post